Tuesday, August 16, 2005

Benaam sa ye dard :)

Oh! I'm feeling nostalgic today....This is the day, when I started my professional career. Looking back on the old times, somehow landed on a very old mail. What started as a simple forward, took a very different shape in the course of our chain mails...Ah! those ELTP training days...miss the gang...born Ghalibs, we were!

Original:
Benaam sa ye dard, thaher kyun nahi jaata ?
Jo beet gaya hai, gujar kyun nahi jaata ?
In reply:
Benaam se dard ko, pyar ka naam do,
Jo beet na saka, usse ab anjaam do!

Original:
Sab kuch to hai, kya dhundhati rehti  hain nigahein ?
Kya baat hai, mein vakt par ghar kyun nahi jaata ?
In reply:
Nigahen vo dhundhati hain, zindagi mein jiski kami hai,
Vakt par ghar nahi jaate, dharkanein chat pe jo thami hain! 

Original:
Vo ek chehra, to nahin saare jahan mein!
Jo door hai dil se, utar kyun nahi jaata ?
In reply:
Vo ek chehra hi to, khaas hai is saare jahan mein,
Door hoke bhi, basa hai dil ki gehraiyon mein!

Original:
Mein apni hi uljhi rahoon ka tamaasha!
Jaate hain jidhar sab, mein udhar kyun nahi jaata ?
In reply:
Apni in uljhi rahoon ko, jaldi suljha,
Jaane de sabko udhar, tu nai rahein khoj la!

Original:
Vo naam jo na jaane kabse, na chehra na badan hai!
Vo khvaab hai agar, to bikhar kyun nahi jaata ?
In reply:
Vo naam, vo chehra, hi to kuch khaas hai,
Vo khvaab hi to hai, jo zindagi ki aas hai!

(Satyam gang)

PS: Picture courtesy Google. 

No comments :

Post a Comment